Best of Hayat Shayari: Taleem, Dua Salaam, Khilaf-Tarz Zamanah, Aruoj and Zawaal

Begin a poetic journey through our best of Hayat Shayari within Shairana Safar by Dr. Adnan Khan. These poetries touch on different aspects of life and society, encouraging you to reflect and contemplate. In these lines, you'll find words like 'Aruoj' and 'zawaal,' highlighting the balance between rising and falling. 'Qudrat' and 'mujizay' underline the wonders of the natural world. The poetries also underscore the importance of 'neki' and 'badla' for those on the path of goodness and the consequences for 'zalim' with 'wabal.' In the exploration of education and ignorance, 'Taleem,' 'maaloom,' 'maqsad,' and 'jahalat' reveal the seriousness of a diminishing knowledge base. The words like 'Khilaf-Tarz Zamanah,' 'rawayatun,' and 'shikayatun' express the poet's desire to challenge conventions. Immerse yourself in these beautiful lines to enhance your poetic journey.

Best of Hayat Shayari

 By: Dr. Adnan Khan

🍁🍁🍁

Aruoj Dekha Hai to Zawaal Bhi Dekhoge

Best of Hayat Shayari: Taleem, Dua Salaam, Khilaf-Tarz Zamanah, Aruoj and Zawaal

عروج دیکھا ہے تو زوال بھی دیکھوگے
قدرت کے معجزے، کمال بھی دیکھوگے
نیک ہو تو نیکی کا بدلہ بھی ملے گا
ظالم ہو تو اس کا وبال بھی دیکھوگے

Aruoj dekha hai to zawaal bhi dekhoge
Qudrat ke mujizay, kamal bhi dekhoge
Nek ho to neki ka badla bhi milega
Zalim ho to us ka wabal bhi dekhoge

-------------------------------------------------------

Taleem Ka Matlab Maaloom Nahi Hai

Best of Hayat Shayari: Taleem, Dua Salaam, Khilaf-Tarz Zamanah, Aruoj and Zawaal

تعلیم کا مطلب معلوم نہیں ہے
 اسکا مقصد بھی فوت ہو گیا ہے
جہالت کا بسیرا ہے شہر علم میں 
 دوا کا اثر اب تو موت ہو گیا ہے

Taleem ka matlab maaloom nahi hai
Uska maqsad bhi foot ho gaya hai
Jahalat ka baseera hai shehr-e-ilm mein
Dawa ka asar ab to maut ho gaya hai

-------------------------------------------------------

Kabhi Hui Un Se Guftagu Bohat

Best of Hayat Shayari: Taleem, Dua Salaam, Khilaf-Tarz Zamanah, Aruoj and Zawaal

دعا سلام

کبھی ہوئی ان سے گفتگو بہت 
 اب مگر دانی ہم کلام نہیں کرتے
 ویسے تو ہوا کچھ بھی نہیں ہے
 ہاں مگر دعا سلام نہیں کرتے۔

Dua Salaam

Kabhi hui un se guftagu bohat
Ab magar Daani hum kalam nahi karte
Waise to hua kuch bhi nahi hai
Haan magar dua salaam nahi karte

-------------------------------------------------------

Na Rawayatun Mein Milon Ga

Best of Hayat Shayari: Taleem, Dua Salaam, Khilaf-Tarz Zamanah, Aruoj and Zawaal

خلاف طرز زمانہ

 نہ روایتوں میں ملوں گا
نہ حکایتوں میں ملوں گا
 خلاف طرز زمانہ ہوں
  شکایتوں میں ملوں گا

Khilaf-Tarz Zamanah

Na rawayatun mein milon ga
Na hikayatun mein milon ga
Khilaf-tarz zamanah hoon
Shikayatun mein milon ga

-------------------------------------------------------